Power of Network Marketing In Hindi – आखिर नेटवर्क मार्केटिंग क्या है?

Friends Network Marketing india me aisa hai jaise Bhoot. Agar aap kisi se kah do ki network marketing kar lo to samne wala insaan is tarah bhagta hai mano usne bhoot dekh liya ho.

Network marketing ko log is nazariye se dekhte hai jaise wo duniya ka sabse gira hua kam hai.

Mujhe pata hai ki aap me se jayadatar logo ke dimag me ye chal rha hoga ki ye wahi farzi wala kam hai, chain wala business. Tum do jodo, mai 2 jodu yahi wala kam bekar ka.

Par rukiye, rukiye, meri aapse ye request hai ki please aap is article ko puri tarah se aur achhe se padhiye.

Mai aapko yakeen dilata hun aaj is article me aapko network marketing ki ABCD pata chal jayegi.

Ye article itna valuable hai ki agar aap ise puri tarah achhe se padhte hai to yakeeen maniye aapko kahi aur jane ki jaroorat nhi hogi. Aur aap network marketing ko lekar puri tarah educate ho jayenge.

Phir aap khud decide kijiyega ki network marketing sahi hai ya phir galat.Ise aapko karna chahiye ya nhi.

Network Marketing In Hindi In India

kayi bar aisa hota hai ki hum suni sunayi baaton par yakeen kar lete hai. Aur kabhi ye janne ki koshish nhi karte ki wakayi me iske peechhe ki sachhayi kya hai. Aur kayi bar to hum bhi bedhadak kisi bhi cheez ki burayi karne lagte hai jabki hame uske bare me koi khas knowledge nhi hai.

Friends aaj ka ye article hum 3 part me divide krenge.

  • Network marketing kya hai.
  • Network marketing badnam kyo hai.
  • Network marketing hame karni kyo chahiye.

Friends aap network marketing karo ya na kro par agar aap is article ko pura padhte hai to mai aapko is baat ki guarantee de sakta hun ki aap network marketing ko kabhi galat nhi bolenge.

Aur na hi galat afwahon se demotivate honge. Aap soch rhe honge ki mai network marketing ko achhe se janta hun yahan mujhe aaj kya alag janne ko milegaPar aap is article ke ant tak bane rahiye aaj aapko is article me jo janne ko milega wo aapne shayad pahle kabhi nhi jana hoga.

1. What is network marketing In Hindi

To friends hum pahle baat kr lete hai ki network marketing kya hai. Aakhir iska concept kya hai.

Friends isse pahle ki hum network marketing ke bare me baat kare usse pahle hum aaiye thoda traditional market ke bare me jante hai.

Friends aapne traditional market ke bare me jaroor suna hoga aur shayad jante bhi honge ki y e kis tarah kam karta hai. Aur agar aapko nhi pata h to mai aapke jankari ke liye batata hun.

Traditional Markting Kya Hai
Doston jab bhi koi company kisi product Ko banati hai to wo in chain ke dwara logo yani consumer tak pahuchta hai .

  • Company
  • C&F Agent
  • Whole seller
  • Retailers/Shopkeeper
  • Consumer.
  • Iske alawa Kisi product ko company se consumer tak lane me advertisement ka kharcha bhi aata hai . Jahan hamare bollywood celebrities aate hai.

Ek example se samajhte hai ki traditional market kam kaise karta hai.

Man lijiye ek company hai joki cold drink banati hai aur ye Agent , whole seller aur retailer se hota hua hamare aapke pas yani consumer ke pas pahunchta hai.

Is chain ke alawa iske advertisement ke liye hamare bollywood star Salman Khan( Har ghoont me swag hai)aur Hrithik Roshan ( Dar ke aage jeet hai) aate hai.

Aur aapko pata n ho to aapki jankari ke liye mai bata dun ki kisi product ke advertisement me 30% -70% tak kharcha aata hai. aur uske upar se ye chain yani jo beech me Agent , whole seller, aur retailer aate hai. Ye bhi apne hisse ki profit lete hai.

Jiski wajah se wo coldrink jiska production cost 1 rupaye hai jab hum peete hai to 15 rs pay karte hai. Ab sochiye jo coldrink 1 rupaye ki banti hai use kharidne ke liye hame 15rs pay karna padta hai.

Aakhir kyon ,kyonki ye sara paisa inhi logo me distribute ho jata hai. Yahi traditional market aur iska concept hai. Ab mujhe lagta hai ki aapko traditional market ke bare me pata chal gya hoga.

Ab aaiye Jante hai ki network marketing kya hai iska concept kya hai.
Network marketing ke bare me batane ke liye mai aapko ek kahani sunata hun.

Ek bar ek business man ne ek company lagayi. Aur usne ek product banaya agale din ek customer(Ramesh) aaya aur wo product kharid le gya.

Ramesh ne is product ki khasiyat apne dost Suresh ko batayi Suresh bhi aaya aur usne bhi us product ko kharid liya .

Chunki product achha tha isliye Suresh ne is product ke bare me apne padosi Mahesh ko bataya. Mahesh ko bhi product ki jaroorat thi isliye jab Suresh ne iske bare me Mahesh ko bataya to Mahesh ne us company me jakar product ko kharid liya aur isi tarah ye chalne laga.

Ramesh ne is product ki khasiyat apne dost Suresh ko batayi Suresh bhi aaya aur usne bhi us product ko kharid liya .

Chunki product achha tha isliye Suresh ne is product ke bare me apne padosi Mahesh ko bataya. Mahesh ko bhi product ki jaroorat thi isliye jab Suresh ne iske bare me Mahesh ko bataya to Mahesh ne us company me jakar product ko kharid liya aur isi tarah ye chalne laga.

Company ka malik ye sab observe kar rha tha to uske dimag me ek idea aaya usne socha ki ye to kamal ho gya Customer mera product kharid bhi rha hai aur apne janne walon ko bata bhi rha hai.

Matlab mere ek customer ki wajah se mujhe dusra customer bhi mil ja rha hai. To us company ke malik ne ek tarkeeb nikali aur usne apne sabhi customers ko bulaya.

Aur kha ki aap log mera product kharidte bhi ho aur jake apne padosi , aur apne doston ko batate bhi ho, lekin ab aap ye kam free ne nhi karoge mai aapko iske badle profit me se share dunga. Isse sare customer khush ho gye. Aur aakhir khush bhi kyon n ho.

Kyonki waise bhi wo log apne padosi , apne doston ko us product ke bare me bata rhe the . Aur ab to unhe iske badle profit me share bhi milne wale the.

Matlab is tarah unhe ek income source mil gya. Jisse wo apni jarooraton aur apne sapno ko pura kar sakte the.

Ise network marketing isliye kha gya kyonki Ramesh ne Suresh ko bataya aur Suresh ne Mahesh ko bataya aur phir Mahesh ne kisi aur ko aur is tarah dekhte hi dekhte logo ka ek pura network ban gya.

Aur chuki ye sare log ek product ke bare me logo ko bata rhe hai arthat ye sare log us product ki marketing kar rhe hai isliye ise Network marketing kha gya .

Chunki isme beech ki chain arthat Agent, Whole seller, retailer inka koi astitav nhi rah jata , aur yahan company to consumer direct product de diye jate hai isliye ise direct selling ke naam se bhi jana jata hai.

Doston mujhe lagta hai ki ab aapko network marketing ka matlab samajh aa gya hoga .

2. Network Marketing Badnaam Kyon Hai (नेटवर्क मार्केटिंग बदनाम क्यों है):-

Friends ab hum baat krte hai ki network marketing badnaam kyo hai aakhir aisi kaun si wajah hai jiske karan network marketing ke bare me kuchh log negative sochte hai .

Kahi sach me to nhi network marketing ek dhokha hai , ek career kharab karne wala business hai.

Friends aaj hum iske upar se parda hatayenge. Aur aapko iske peeche ka karan batayenge ki aakhir logo ke andar iske prati negativity kyon bhari huyi hai.

Doston iske liye hum isko 3 part me todenge.

  • Company ki wajah se
  • Leaders ki wajah se
  • Galat logo ki wajah se
  • Company ki wajah se

Friends hum pahle point me baat krenge ki kaise company ki wajah se negativity fail rhi hai. Friends kuchh company galat mind set se aati hai aur wo sab kucch lubhavana deti hai .

Aur college students ko target karti hai. aur unhe apne sath associate karti hai uske baad unhe barbaad krke chali jati hai. Aise companies ke pas unke n to product hote hai , aur na hi koi training ki suvidha.

1. Company ki wajah se

Friends chunki network marketing ka concept bahut achha hai , isliye is concept ko galat companies bhi use karti hai aur personality development aur english speaking ke naam par money circulation ka kam karti hai .

Aapka paisa leke unko , unka paisa leke kisi aur ko , aise hi inka business chalta rahta hai, kyonki network marketing ka concept bahut hi beautiful hai.

Isliye ye sari companies us concept ko use karke market me ghusti hai , aur jaise hi inka bhanda footne lagta hai , ye dabe pair nikal leti hai .

Aur bechare students jo inke shikar huye hote hai ,wo network marketing ko leke negative ho jate hai . Aur jab bhi koi unse network marketing ke bare me advise leta hai , to wo saaf mana kar dete hai, kyonki wo pahle se kisi company dwara thage ja chuke hai.

Isliye wo sabko mana karte hai ki network marketing mat krna ye kharab business hai , isme koi safal nhi hota , ye companies kewal chutiya banati hai , phir bhag jati hai.

Lekin isme in students ya aise logo ki koi galati nhi hai , inhe companies ke dwara bad experience mila hua hai , isliye ye sab aisa kah rhe hai.

Lekin doston hame ye samajhne ki aaj jaroorat hai ki agar talab ki ek machhli gandi ho jaye to sare talab ki machhliyan gandi nhi ho jati.

Gaw ka koi ek vyakti kharab nikal jaye to us aadhar par sare gaw walon ko nhi judge karna chahiye. Agar family ka koi ek sadsya kharab nikal jaye to puri family nhi kharab ho jati .

Friends mai aapko thoda aur achhe se explain karne ke liye ek kahani sunata hun.

Ek bar ki baat hai kuchh chor ek bank me ek bandook leke ghus jate hai aur sab kuchh loot le jate hai. Kyonki unke pas bandook rahti hai isliye sare log un choron se darte hai.

Itne me kuchh police wale aa jate hai unke pas bhi bandook rahti hai. Aur wo sab choro ko pakad lete hai.

Ab is kahani se mai aapko ye seekhana chahta hun , ye message dena chahta hun. Ki bandook to dono ke pas tha par ek ne uska upyog bank lootne ke liye kiya jabki dusre ne uska upyog chori rokne ke liye kiya.

Matlab jab bandook ko leke chor, lootere bank me ghus jate hai to iska matlab ye hota hai ki ab aapka paisa aur jaan khatre me hai.

Par jab usi bandook ko leke koi security guard bahar khada hota hai to aapko is baat ki santushti rahti hai ki aapka paisa aur jaan bank me surakshit hai.

Doston ab aap batayiye bandook to dono case me bechari nirdosh hai, bandook to shaktishali hoti hai, nirdosh hoti hai.

Ab ye us par nirbhar karta hai jo iska istemal karta hai. Ek insaan iska istemal desh ki raksha ke liye karta hai aur dusra atankwad ko badhawa dene ke liye karta hai .

Theek isi tarah doston network marketing nhi kharab hai , agar koi kharab hai to wo companies jo iska upyog galat mind set se karti hai, aur badnaam hoti hai network marketing.

Isliye aaj se aap ye kabhi mat kahiyega ki network marketing kharab hai . Company kharab ho sakti hai par network marketing nhi.

Friends ab mujhe lagta hai ki ab aapko ye samajh aa gya hoga ki network marketing kharab nhi hai. Aur isko badnaam karne me kharab company ka kya yogdan hai

2. Leader ki wajah se

Doston leader ki wajah se negativity kyo fail rhi hai. Aisi kaun si galtiyan leader karte hai jiski wajah se network marketing badnaam ho rhi hai.

Doston yahan mai sare leaders ko nhi kah rha hun . Kuchh leader aise bhi hai jo wakayi me bahut achha kam kar rhe hai .

Par aapke company ke ya kisi aur company ke jyadatar leaders ki wajah se is beautiful profession par kayi bar sawal uth jata hai.

Jab hum ya koi naya associate aapki company join karta hai. To jo leaders hote hai wo unhe bahut sare sapne dikha ke late hai .

Jaise agar tum join karte ho to 6 maheene ke andar gadi le loge , 1 saal me ghoda aa jayega, bandook le loge is tarah se unhe motivate karke laya jata hai. Khas kar 18-25 saal ke age group ko.

Aur jab wo is profession me aate hai to unhe ye sari cheezein nahi mil pati, chunki unka main motive paisa kamana hota hai aur wo motivate hoke aaye rahte hai. Isliye unhe lagta hai ki pahunchte hi sab kuchh hasil ho jayega .

Aur 1 saal ke andar hi jhande gad denge. Par jab yahan pahunchte hai. To unhe lagta hai ki nhi hame jitna bataya gya tha ,ye duniya to usse puri tarah alag hai.

Hum network marketing to krte hai par network ka matlab hi bhool jate hai. Hame unhe kewal motivate karke join nHi karwana hai. Balki unhe educate karna hai .

Leaders ko chahiye ki jo bhi ladka aake join karta hai use network marketing ko leke educate kare,

Kyonki jab koi young age ladka ise aake join karta hai to uske andar bahut sare sapne hote hai aur ye leaders unhi sapno ko unhe bech dete hai. aur wo bechare excited hoke to join kar lete hai.

Par jab unhe asal me mehnat karni padti hai to wo kar nhi pate aur aage long term nhi chal pate . Kyonki unhe wo sari cheeze nhi mil pati jis cheez ka unhe sapna dikhaya gya hota hai. Isliye leaders ko unhe motivate karke nhi balki educate karke lana chahiye .

Unhe iske direct indirect sare benefits batane chahiye. Aur agar paise ke bare me kam bole to jyada behtar hoga. Aur wo jab is profession ko leke educate rahenge to unhe koi problem bhi nhi hogi aur na hi wo demotivate honge .

Agar aane wala associate network marketing ko leke educate hai. To wo kabhi bhi kisi ke kahne se demotivate nhi hoga . Par agar aap use motivate karke laye hai to strong possibility hai ki wo demotivate ho jayega aur long term nhi ja payega

3. Because of wrong people

Doston galat logo ka matlab yahan is baat se hai ki kuchh log to ise join kar lete hai , lekin wo na to apne leaders ki baaton ko dhyan se sunte hai. Aur na hi apne company ke instructions ko follow karte hai. Bas join karke baith jate hai . Kabhi koi training nhi lete hai. Aur na hi kuchh seekhte hai. Apne upline apne leaders se jhooth bolte hai. Aur koi mehnat nhi karna chahte hai.

Ab aap hi batayiye ki jo apne leaders se jhooth bolega , trainings nhi attend karega , company ki guidelines ko follow nhi karega , books nhi padhega, khud ko upgrade nhi karega.

Wo kaise safal ho sakta hai.aur yahi log jab network marketing chhod ke nikal aate hai to negativity failate hai ki network marketing kharab kam hai, ise nhi karna chahiye tha. Ye business kharab hota hai. Ise bhool ke bhi mat krna. Jabki wo khud ko dosh nhi dete hai ki unhone kya galtiyan ki hai.

Wo ye bhool jate hai ki un logo ne kabhi mehnat nhi ki , khud ko kabhi upgrade nHi kiya , kabhi kuchh seekhne ki koshish nhi ki. Aur bahar jake network marketing ko galat bata rhe hai.

Doston isliye meri aap sab se ek request hai Ki kisi par blindly vishwas karne se pahle ye jan lena ki jo banda mujhe network marketing ko leke negative kar rha hai. wo network marketing me aane ke baad kitna efforts kiya hai. Network marketing me aane ke baad kabhi mehnat kiya hai ki nhi . Ki bas aise hi time pass karne ke liye join kiya tha.

Friends ek baat mai aur aap sab se clear krna chahta hun. Kayi baar aisa hota hai ki mere kuchh dost network marketing ko join to kar lete hai par network marketing ko leke educate nhi hote aur na hi network marketing ko proper tareeke se jaan pate hai.

Wo bas upar upar se hi jante hai. Aur hamare kuchh dost aur relative network marketing me aake koi mehnat nhi karte , logo ko koi plan nhi dikhate , to ab aap hi batayiye wo kaise grow kar sakte hai.

Wo kaise aage badh sakte hai. Isliye apne friend aur apne relative ki wajah se negative hone se pahle aap ye janne ki koshish kre ki kya unhe network marketing ke bare me proper knowledge hai ya nhi.

Kya wo isme aane ke baad kuchh mehnat kiye bhi hai ya nhi. Aap unki diary dekhiye uske baad unka kahna maniye.

Ek baat mai aap sabse aur kahna chahta hun ,kabhi kabhi aisa hota hai ki hamare relation me koi bahut padha likha ya successful hota hai jaise man lijiye ki aapka koi relative ek doctor jo gya hai.

Ab aapke parents aur aapke baki ke rishtedar bhi usi doctor shahab se hi advice lete hai , jaise ki ab mera beta kya kre ye batayiye , use kya karna chahiye , wo network marketing kare ya n kre, ye sahi hai ya galat hai.

Is condition me doctor babu bhi kah dete hai nhi , yahi sab rah gya ab karne ko aur koi kam nhi hai. Ye bewkoof banane wala business hai , ye business nhi chalta , jindgi kharab ho jayegi.

Aur aapke parents aapko mana kar dete hai Ki aapko network marketing nhi karni hai.

Jabki wo is baat pe jara sa bhi dhyan nhi dete ki ho sakta hai ki doctor shahab kahi se sune honge ki yr kharab business hai , ye business nhi chalta aur kewal suni sunayi baaton par yakeen kar liye hai . Aur kabhi ise analysis karne ki koshish hi nhi ki. Kyonki wo apne study me busy the, apne medical career me busy the.

Mera aapko ye example dene ka sirf ek hi maksad hai ki aap ya aapke parents agar kisi se bhi ye advise lete hai ki wo aapko ye bataye ki aapko network marketing karni chahiye ya nhi.

To pahle aap ye jan lijiye ki use network marketing ke bare me puri jankari hai ya nhi , wo network marketing ko aakhir kitna janta hain.

Ye jaroori nhi hai ki agar koi vyakti kisi field me safal hai to wo aapko har field ke bare me sahi jankari de paye . Isliye kisi pe blindly bharosa karne se pahle aap khud research kijiye khud analysis kijiye aur uske baad aap decision lijiye.

Kyonki career aapka hai ,to decision bhi aapka hona chahiye . Kyonki dusro ke decision ke sahare chalne wale log jeevan me dhakke hi khate rahte hai.

Doston hamne peechhe bataya ki network marketing kya hai , aur ye badnaam kyo hai.

Ab aage hum baat krenge ki aakhir network marketing ko karne ki kya jaroorat hai. Hum network marketing kyon kre.

Network marketing kyon karni chahiye:-

Network marketing kyon karni chahiye iske liye mai aapko kuchh points batata hun.

1. Communication skills:

Doston aapko ye pata hona chahiye ki bina achhe communication ke aap kabhi safal nhi ho sakte.

Doston hame lagta hai ki communication skill ki jaroorat kewal business ya phir office me hoti hai, nhi my dear friend communication kewal business aur office tak hi nhi simit hai

Aisa nhi hai ki aap business kar rhe hai to hi aapko communication ki jaroorat hai. Aap business man hai, ya aap employee hai, ya aap father hai ya aap mother hai ya phir aap husband ho ya phir wife ho ya aap friend hai ya aap brother hai,

Aap rishton ke kisi bhi field se belong karte ho chahe wo aapka personal rishta ho ya phir aapka professional, har jagah communication skill ka bahut bada yogdan hai.

Aapke 90% problem to yun hi solve ho jayenge agar aap ek achhe communicator hai.

Ek achhi communication skill hone ki wajah se na sirf aap apne boss se apne rishte sudhar sakte hai balki aap apni company me apna promotion bhi karwa sakte hai.

Agar aapki communication skill achhi hai to aapki apne wife se bhi sambandh achhe honge. Aur aapka relationship Long term chalega. Ek matra communication ke sudhar jane se aapke personal aur professional dono rishte majboot ho jayenge.

“Communication doesn’t mean that you have to speak english fluently” communication ka matlab hota hai ki aapas me ek dusre ke beech ek error less environment banana apni feelings apni baato ko kisi ke samne rakhna aur uski baato uski feelings ko samajhna aur phir pyar aur sahyog ke sath ek dusre ke manobhavon ko samjhna ,khud ko ek dusre ke jagah rakhkar dekhna.

Ye hoti hai ek achhe communicator ki quality. Ek akeli communication skill aapki puri jindgi badal sakti hai.

Aapne kabhi is baat par focus kiya ki modi ji kaise sari janta ka impress kar lete hai.

PM Modi , Barac Obama, Swami Vivekanand Subhash chandra bos ye sare log Communication skill ke hi product hai.

Aur network marketing me hame ye sab kuchh practically seekhne ko milta hai ,kyonki yahan hum daily bases par different different logo se milte hai , unhe samajhte hai , unhe samjhate hai.

Achhi achhi books padhne ko milti hai , ek environment milta hai , aur har din naye naye logo se milne ki wajah se hum different different logo ki psychology ko samajh pate hai.

Aur human psychology ke bare me hum master ho jate hai. Kyonki yahan one to one , one to many many to one type ke communication me hum daily bases par participate karte hai.

2. People Management Skill

Doston ye ek bahut hi mahatvapoorn skill hai , agar dekha jaye to hum sab kahi n kahi managment karte hi hai. Ghar se leke office tak hum sabko management karna hi padta hai.

Office me apni team ko manage karna , college me apne classmates ko manage karna ghar me apni wife apne bachcho ko manage karna , hum sab directly indirectly management me participate karte hi hai .

Aur friends agar aapka management skill majboot hai, to definitely aap na kewal apne professional life ko behtar bana payenge. Balki aap apne personal life lo bhi majboot aur sukhmay kar payenge.

Aapko har kadam par management skill ki jaroorat padti hai , aur network marketing me aapko ye daily bases par seekhne ko milta hai.

Aap apni team ko manage karte ho , aapke team ka har member different different behavior ka hota hai , har member ki alag alag need hoti hai , har member alag alag tareeke se sochta hai, aapko ye sab kuchh manage karna padta hai.

Ab aap khud sochiye jahan aapko ye sari cheeze practally seekhne ko milti ho wo industry, wo organization kaise kharab ho sakta hai.

Agar aap inhi sari cheezo ko seekhne jayenge , inki coaching class lenge to aapko 10000- 20000 Rs tak kharch karne padenge.aur phir bhi aapko practically knowledge nhi milega.

Kewal upar upar se aapko theory padha ke notes banwa di jayegi. Aur aapko ye pata hona chahiye ki agar aapke habit me ye sari cheeze nhi aati hai , to aap ise implement nhi kar payenge.

Aur na hi ye sari cheeze aapke jeevan me puri tarah se involve ho payengi.

Lekin aap network marketing karte ho to aapko ye sari cheeze practically seekhne ko milti hai. Aur ye dheere dheere aapke blood me aa jata hai.

Aur phir aapko iski habit ho jati hai. Phir aap jahan bhi jate hai waha sab kuchh manage kr lete hai .

3. Speaking skill

Doston mujhe aap logo ko ye batane ki jaroorat nhi hai ki fear of stage kya hota hai , jab kabhi stage pe jake bolna hota hai hath pair sab ke sab kapne lagte hai , lagta hai ki bas yamdoot aa gye hai ab pran pakheru ud jayenge, saanse 144 ke speed se chalti hai. Lagta hai mano pura shareer shunya pad gya ho.

Jab hum schools me padh rahe hote hai to koshish to yahi rahti hai ki independence day , aur republic day par bolna na pade .

Phir bhi agar bolna padta hai to saal me yahi do mauke hote hai jab hum kuchh bolte hai. wo bhi badi mushkil se.

Aaj aap school me ho kal ko college me jayenge , phir job karne ,agar aap safal hona chahte hai to aapko har kadam pe logo ke samne apne ideas apni baaton ko rakhna aana chahiye aur ye sari cheeze aapko aapka college ya school nhi sikhata .

Jabki network marketing me aise kayi mauke aate hai jab hame stage ka samna karna padta hai, aur wahan koi aapki hansi nhi udata balki support hi karta hai.

Wahan aapko ek aisa environment milta hai ki aapke andar apne aap hi speaking ki habit aa jati hai.

4. Financial Awareness:-

Friends ye bahut hi important hai ki aapko financial awareness honi chahiye , aap kisi bhi develop country ko dekh lijiye wahan ke students financial aware hote hai. School life me hi wo paise ke importance ko samajhne lagte hai.

Paise kamane kaise hai , investment kya hota hai, saving vs investment me kya fark hai , in sari cheezo ke bare me unko pata hota hai.

Par hamare yahan india me college ke student bhi apni pocket money tak ke liye family me dependent hote hai.

Doston paisa kamana jitna jyada jaroori hai usse kahi jyada jaroori hai ki us paise ko sahi jagah invest karna , par financial awareness n hone ki wajah se na to hum paisa save kar pate hai aur na hi invest.

Par agar aap network marketing karte hai , ya aapke contact me koi bhi network marketer hai, jo wakayi me dil se network marketing kar rha hai usse puchhiye usko pata hoga ki saving aur investment me kya fark hai.

Use pata hone ka ek matra karan hai ki unhe yahan wo environment milta hai , aisi books padhne ko milti hai jo use financial aware kare , aur wo paise ke importance ko samajh paye. jabki hum apne academic life me ye sab nhi seekh pate.

Conclusion

Doston agar mujhse aap puchenge to mai aapko recommend karunga ki aapko network marketing karni chahiye , isliye nhi ki aap waha jake apne sapne pure kar sakte hai, aap ameer ban sakte hai , balki isliye ki aap yahan mansik taur me itne majboot ho jayenge ki aapke andar itni skill aa jayegi,.

Aapke andar creativity aa jayegi , aapke andar entrepreneur wala mindset aa jayega , aapke andar people management karne ka skills aa jayega, logo ko kaise influence kiya jata hai aapko ye samajh aa jayega.

Aapko sales ki techniques aa jayengi, aap yahan education ke mind set se enter kijiye paisa to isme by product hai. Aur waise bhi aapko jo skills yahan seekhne ko milti hai aapko uske bare me sochna chahiye.
Friends waise bhi –

Leave a Comment